How To Stop Windows Update: Laptop Me Windows Update Ko Kaise Roke.

 How To Stop Windows Update: Laptop Me Windows Update Ko Kaise Roke

Hello dosto aaj hum baat karenge ki apne laptop me jo background Window Update chal rahe update ko kaise roke.

Dosto aap log jab apne laptop me internet connect karte hain to apka internet ki speed kafi slow ho chalti hai or apka internet ka data bina use kiye khatam ho jata hai. Dosto aaj hum apko 2 aise trick batayenge jise aap use kakre apne internet ki speed fast kar sakte hain. Chaliye doston shuru karte hai.

Trick no.1

Sabse pahle aap apne laptop ki Setting khol le, apko Setting me sabse niche Update & Security ke option par click kar de.

Click TO Pause

Jiske baad apke samne ek Windows Update ki screen khulegi, apko yah par niche ek Pause Updates ka ek button dikhai dega. Apko is button par click kar dena hai, jiske baad apke laptop ki update ruk jaegi. Apke internet ki speed tez ho jaegi.

Trick no.2

Doston agar aapko windows update ko puri trah se band karna hai, to aap dusri setting ko use kar sakte hain. Jiske baad apke laptop ke sare update ruk jayenge. To chaliye doston suru karte hai trick no.2

Sabse pahle apko apne laptop ke This PC jana hoga.

Click To Manage

Apko upar ki or ek Manage ka option dikhai dega, apko Manage ke option par click kare. Jiske baad apke samne ek window khulegi.

Click to Services and Applications

Apke samne ek Computer Management naam ki window khulegi. Apko is window me ek Services and Applications ka option dikhai dega apko is par click karna hoga.

Services and Applications par click karne baad, apke samne dusri window khulegi jisme se sirf Services ke option par click karna hoga.

Click karne ke baad computer ki Services naam ki ek window khulegi. Apke samne computer ke kai sare option dikhai denge, apko services me sabse niche jana padega. Jab aap sabse niche a jayenge toh apko ek Window Update ka option dikhai dega.

Window Update Properties

 1. Apko sabse pahle Window Update par click karna hoga. Jiske baad Window Update Properties naam ki ek chhoti si window khulegi.

2. Apko isme sabse pahle STOP ke button par click karna hoga.

3. Fir apko Manual ke option par click karna hoga. Jab aap Manual ke option par click toh apko 4 option dikhai denge. Jisme se apko sirf Disabled  ke option par click karna hoga.

4. Jab aap Disabled ke option click karenge, to apko ise star karne ke liye apko START ke Button par click karna hoga.

5. Start karne ke baad apko ise APPLY karna hai. Apply karne ke baad apko OK bhi karna hai. Jab aap ok karoge to ye setting puri trah se chalu ho jayegi.

Dosto apko ye setting karne se apke laptop ko koi nuksan nahi hoga. Ye setting karne se sirf apka Window Update ruk jayega. Apka internet tez ho jayega. agar apko window update fir se chalu karni hai, toh apko laptop ke setting ke option me jakar Resume Update ke button par click kar dena hai jiske baad apke laptop ka window update fir se chalu ho jayega.

Dosto agar apko ye article kaisa laga mujhe comment karke jarur bataye.

Post a Comment

0 Comments